Hindi Shayari - हिंदी शायरी

Badi Tabdiliyan Laya Hu
Main Apne Aap Me Lekin,
Bas Tumko Yaad Karne Ki,
Wo Aadat Ab Bhi Baaki Hai!
बड़ी तब्दीलियां लाया हूँ
मैं अपने आप में लेकिन,
बस तुमको याद करने की
वो आदत अब भी वाकी है।



Jhooth Bolte The Phir Bhi Kitne Sachche The Hum,
Yeh Un Dino Ki Baat Hai Jab Bachche The Hum.
झूठ बोलते थे फिर भी कितने सच्चे थे हम,
ये उन दिनों की बात है जब बच्चे थे हम।

Woh Bachpan Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gayi,
Kya Umar Thi Ke Raaat Huyi Aur Hum So Gaaye.
वह बचपन की नींद तो अब ख्वाब हो गयी,
क्या उम्र थी के रात हुयी और हम सो गए।



Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai,
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-E-Guftgu Kya Hai.

Na Shole Mein Ye Karishma Na Vark Mein Ye Adaa,
Koyi Batao Ki Woh Shokhe-Tund-Khoo Kya Hai.

Ye Rashk Hai Ki Woh Hota Hai HumSukhan Tumse,
Vargana Khaufe-Bad-Amojiye-Adoo Kya Hai.

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal,
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai.

Kadam Do Char Chalta Hoon,
Muqaddar Rooth Jata Hai,
Har Ek Umeed Se Rishta,
Humara Toot Jata Hai,
Zamane Ko Sambhalu Gar,
To Tum Se Door Hota Hoon,
Tera Daman Sambhalu To,
Zamana Chhoot Jata Hai!

कदम दो चार चलता हूँ,
मुकद्दर रूठ जाता है,
हर इक उम्मीद से
रिश्ता हमारा टूट जाता है,
जमाने को सम्भालूँ गर
तो तुमसे दूर होता हूँ,
तेरा दामन सम्भालूँ तो,
जमाना छूट जाता है।


Post a Comment

أحدث أقدم